About Me

My photo
A citizen of a new big country Azad Hind Desh (India + Pakistan + Bangladesh).

Monday, August 16, 2010

Azad Hind Desh hamara hai.

saitan to patthar ka boot ban gaya hai ,
insan hi haivan kaa doot ban gaya hai.

yahan patthar saitan par nahi insano pe mare jate hain ,
phir bhi ham Khuda ke nek bando men hi jane jate hain.

hame aman men nind nahi aati phsad hi bhata hai,
insanon pe joote, Kuran ke kis aayat men aata hai ?

band aur hadatal kar vatan ka gardan aithe hain ,
majahab, jamat aur jat ka thekedar ban baithe hain.

sabr karo saitano janata abhi soee hai,
nind ke karan tumhare bahakave men khoee hai.

kisi se kahalvalo Balochistan hamara hai,
to kisi se kahalvalo Kashmir hamara hai,

jab hunkar kar janata nind se jag jayegi,
tumhari sari hekadi phir bhag jayegi.

Hindukush se Hind Mahasagar tak hamara hai,
bol uthegi "Ajad Hind Desh" hamara hai,
"Ajad Hind Desh" hamara hai, "Ajad Hind Desh" hamara hai.

- Ghulam Kundanam
Citizen of Azad Hind Desh (Pakistan + India + Bangladesh)








No comments:

Post a Comment