About Me

My photo
A citizen of a new big country Azad Hind Desh (India + Pakistan + Bangladesh).

Sunday, August 15, 2010

ye corruption ka khel bahut hi purana hai,
ese netao ne azadi ke pahle se hi thana hai.

lutne ke khatir hi to desh ko tin tukro me bat diya,
videshi banko me na jane kitne rupaye ganth liya.

hamare pakistani neta bandhu to videsho me hi rahate hain,
maiyaten nikalni hoti hai to desh me kadam rakhte hain.

lahu aur ijjat to janta ki jati hai,
netao ke pas mal ki gathri aati hai.

abhi bhi wakt hai sare netao ko pahchan lo,
"Azad Hind Desh" fir se Banane ki than lo.

agar ham nahi chete to neta hame chat jayege,
jati, sampraday, bhasha ke nam par bat khayege.

bhula do un sabhi ghrina ko jo unane failai hai,
Hindukush se Hind mahasagar tak har koi bhai hai.

- Ghulam Kundanam,
Citizen of Azad Hind Desh (Pakistan+India+Bangladesh)

No comments:

Post a Comment